Wednesday, 25 June 2014

Shab-e-wada Awwal Tou Aatay Nahe Wo

 

Shab-e-wada Awwal

tanhai mai faryad to kar skta hu,veraany ko abad to kr skta hu
jb chahu tmhy mil nae skta, laikan jb chahu tmhy yad to kr skta hu
shabay wada awwal to wo aty nahe thy, jo aye b to rat esi gawai.
shabay wada awal to aty nahe thy, jo aye b to rat esi gawai
kbi rat ko tum ne gaisu sanwary, kbi rat ko tum ne mehndi lgai.
bhala apny nalo ki mujhko khabar kia , shabay gham hui thi kahan tak rasai.
magar ye adam ki zubani suna hy, bari mushkilon sy tmhy nend ae. 
gila bewafai ka kis sy karyn ham, hmara gila koi sunta nahe hy
khuda tumko rakhy jawani k din hyn, tmhra zamana tmhari khudai.
har ik ny diye mery shikwon pe tanay, tery zulm laikin ksi ne na pochay
mari bat par wo rotha zamana, teri bat dunia zuban par na lai.
saray sham any ka wada kia tha, magar rat abto dhali ja rahe hy
na jany kahan rah mai ruk gaye wo, na jany kahan dair itni lgai.
shabay wada awwal to aty nahe wo, jo aye b to rat esi gawai

No comments:

Post a Comment